nirgaman 4:1-31
4 tab moosa ne kaha, “lekin agar woh mera yakeen na karein aur yah kehkar meri baat maanne se inkar kar dein+ ki yahova tere saamne prakat nahin hua, to main kya karoon?”
2 yahova ne usse kaha, “woh tere haath mein kya hai?” usne kaha, “chhadi hai.”
3 parmeshvar ne kaha, “use neeche zameen par feink.” moosa ne chhadi zameen par feinki aur woh saanp ban gayi.+ tab moosa vahaan se door bhaaga.
4 fir yahova ne moosa se kaha, “apna haath badhakar use poonchh se pakad.” moosa ne haath badhakar use pakad liya aur woh uske haath mein fir se chhadi ban gaya.
5 tab parmeshvar ne kaha, “tu logon ke saamne aisa hi karna taaki woh yakeen karein ki yahova vaakai tere saamne prakat hua,+ jo unke purkhon ka parmeshvar hai, abraham, ishaak aur yakub ka parmeshvar hai.”+
6 yahova ne usse yah bhi kaha, “ab zara apna haath apne baage ki oopri tah ke andar rakh.” moosa ne apna haath baage ki oopri tah ke andar rakha. jab usne haath baahar nikaala, to yah dekhkar chaunk gaya ki uska haath kodh se bhar gaya hai aur barf jaisa safed ho gaya hai!+
7 fir parmeshvar ne kaha, “ab apna haath vaapas baage ki oopri tah ke andar rakh.” moosa ne aisa hi kiya. jab usne baage mein se apna haath baahar nikaala, to dekha ki uska haath pehale ki tarah achha ho gaya hai!
8 tab parmeshvar ne kaha, “agar woh tera yakeen na karein aur pehale chamatkar par dhyan na dein to woh doosra chamatkar dekhkar zaroor yakeen kareinge.+
9 aur agar ye donon chamatkar dekhkar bhi woh yakeen na karein aur teri baat maanne se inkar kar dein, to tu neel nadi mein se thoda paani lena aur sookhi zameen par undelna. tab woh paani jise tu zameen par undelega khoon mein badal jaayega.”+
10 moosa ne yahova se kaha, “maaf karna yahova, main bolne mein nipun nahin hoon, main saaf-saaf bol nahin paata. na to main pehale kabhi bolne mein kushal tha aur na hi jab se toone mujhse baat ki tab se kushal bana hoon.”+
11 yahova ne usse kaha, “achha, tu yah bata ki insan ko bolne ke liye munh kisne diya, dekhne ke liye aankhein kisne di aur woh kaun hai jo use goonga, behra ya andha banata hai?* kya woh main yahova nahin?
12 isliye ab tu jaa aur mere logon se baat kar, main teri madad karoonga* aur tujhe sikhata rahoonga ki tujhe kya kehna hai.”+
13 magar fir bhi moosa ne kaha, “maaf karna yahova, tu is kaam ke liye kisi aur ko chunkar bhej.”
14 tab yahova ka gussa moosa par bhadak utha. fir usne kaha, “dekh, levi gotra ka haaroon jo tera bhaai hai,+ woh tujhse milne aa raha hai. jab woh tujhse milega to khushi se foola nahin samayega.+ main jaanta hoon ki woh achhi tarah baat kar sakta hai.
15 isliye mainne tujhse jo-jo baatein kahi hain, woh sab use batana.+ jab tu baat karega, to main tum donon ke saath rahoonga+ aur tumhein sikhaunga ki tumhein kya-kya karna hai.
16 haaroon teri taraf se logon se baat karega, woh teri zaban ban jaayega aur tu uske liye parmeshvar jaisa hoga.*+
17 aur tere haath mein jo chhadi hai, use tu apne saath le jaayega aur usse chamatkar karega.”+
18 fir moosa apne sasur yitro+ ke paas gaya aur usse kaha, “main misra jaane ki ijazat chahta hoon taaki jaakaar dekhoon ki mere bhaai khairiyat se hain ya nahin.” yitro ne moosa se kaha, “theek hai, kushal se jaa.”
19 iske baad yahova ne moosa se, jo midyan mein tha, kaha, “tu ab misra laut jaa kyonki jitne aadmi teri jaan ke peechhe pade the, woh sab mar chuke hain.”+
20 tab moosa ne apni patni aur apne beton ko ek gadhe par bithaya aur misra lautne ke liye nikaal pada. moosa ne apne haath mein sachche parmeshvar ki chhadi bhi li.
21 fir yahova ne moosa se kaha, “mainne tujhe jitne bhi chamatkar karne ki shakti di hai, tu misra lautne par firaun ke saamne woh saare chamatkar zaroor karna.+ fir bhi firaun mere logon ko jaane nahin dega,+ kyonki main uske dil ko kathor hone doonga.+
22 tu firaun se kehna, ‘yahova kehta hai, “israel mera beta hai, mera pehalautha.+
23 main tujhse kehta hoon, mere bete ko jaane de taaki woh meri seva kare. agar toone use bhejne se inkar kar diya to main tere bete ko, tere pehalauthe ko maar daaloonga.”’”+
24 fir hua yah ki raaste mein ek musafirkhane par yahova+ usse mila aur use maar daalne ki koshish karne laga.+
25 tab sippora+ ne ek tez chakmak patthar liya* aur apne bete ka khatna kiya aur fir uski khaldi se uska pair chhua aur kaha, “yah isliye hai kyonki tu mere liye khoon ka doolha hai.”
26 isliye parmeshvar ne use jaane diya. us vakt sippora ne khatne ki vajah se “khoon ka doolha” kaha.
27 fir yahova ne haaroon se kaha, “tu veerane mein jaa aur moosa se mil.”+ haaroon gaya aur sachche parmeshvar ke pahad+ ke paas moosa se mila. usse milne par haaroon ne use chooma.
28 fir moosa ne haaroon ko bataya ki yahova ne use kya-kya batakar bheja hai+ aur kya-kya chamatkar karne ki aagya di hai.+
29 iske baad moosa aur haaroon ne jaakaar israeliyon ke sabhi mukhiyaon ko ikattha kiya.+
30 haaroon ne unhein woh saari baatein batayin jo yahova ne moosa se kahi thi aur moosa ne logon ke saamne chamatkar kiye.+
31 yah dekhkar logon ne moosa ka yakeen kiya.+ aur jab unhonne suna ki yahova ne israeliyon ki haalaat par dhyan diya hai+ aur unki dukh-takaleefon par gaur kiya hai,+ to unhonne munh ke bal zameen par girkar dandvat kiya.

