nirgaman 39:1-43
39 fir unhonne pavitra-sthan mein seva karnevalon ke liye neele dhaage, bainjni oon aur surkh laal dhaage+ se badhiya bunai karke poshakein taiyar kin. unhonne haaroon ke liye pavitra poshak taiyar ki,+ theek jaise yahova ne moosa ko aagya di thi.
2 usne sone, neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur bate huye badhiya malmal se epod taiyar kiya.+
3 unhonne sone ke pattaron ko peetkar unki patli-patli pattiyaan banayin. fir unke baareek taar kaate taaki ye taar neele dhaage, bainjni oon aur surkh laal dhaage ke saath istemal kiye jaa sakein. unhonne inse badhiya malmal par kadhai ki.
4 unhonne epod ke kandhe ke donon hisse jod diye aur woh ek-doosre se jude rahe.
5 epod ko kaskar baandhne ke liye us par ek buna hua kamarband lagaya gaya.+ kamarband bhi in cheezon se banaya gaya: sona, neela dhaaga, bainjni oon, surkh laal dhaaga aur bata hua badhiya malmal. yah sab theek vaisa hi banaya gaya, jaise yahova ne moosa ko aagya di thi.
6 fir unhonne sulemani patthar liye aur un par israel ke beton ke naam is tarah khodkar likhe jaise muhar par khudai ki jaati hai. aur un pattharon ko unhonne sone ke khaanchon mein jad diya.+
7 usne unhein epod ke kandhe ke hisson par lagaya taaki ye israel ke beton ke liye yaadgar ke patthar ban jaayen,+ theek jaise yahova ne moosa ko aagya di thi.
8 fir usne kadhai ka kaam karvakar seenaband taiyar kiya.+ epod ki tarah seenaband bhi in cheezon se taiyar kiya gaya: sona, neela dhaaga, bainjni oon, surkh laal dhaaga aur bata hua badhiya malmal.+
9 unhonne seenaband is tarah banaya ki beech se modne par woh chaukor ho jaata, ek bitta* lamba aur ek bitta chauda.
10 unhonne seeneband mein chaar kataaron mein ratna jade. pehali kataar mein maanik, pukhraj aur panna.
11 doosri kataar mein firoza, neelam aur yashab.
12 teesri kataar mein lasham,* hakeek aur kataila.
13 chauthi kataar mein karketak, sulemani aur margaj. ye ratna sone ke khaanchon mein bithaye gaye.
14 in 12 ratnon par israel ke 12 beton ke naam aise khodkar likhe gaye jaise muhar par khudai ki jaati hai. har ratna par ek bete ka naam tha jo ek gotra ko darshata tha.
15 iske baad unhonne seeneband ke liye shuddh sone ki bati hui zanjeerein banayin jo dikhne mein doriyon jaisi thi.+
16 fir unhonne sone ke do khaanche aur sone ke do chhalle banaye aur donon chhallon ko seeneband ke do konon par lagaya.
17 fir unhonne sone ki donon doriyon ko seeneband ke konon par lage chhallon mein daala.
18 fir unhonne do doriyon ke do chhor ko do khaanchon ke andar se nikaalkar unhein epod ke kandhe ke hisson par, saamne ki taraf lagaya.
19 iske baad unhonne sone ke do chhalle banaye aur unhein seeneband ke nichle do konon par andar ki taraf lagaya, yaani seeneband ke us hisse mein jo epod ki taraf tha.+
20 unhonne sone ke do aur chhalle banaye aur unhein epod ke saamne ki taraf, kandhe ke hisson ke neeche, jahaan woh judta hai yaani bune huye kamarband ke theek oopar lagaya.
21 aakhir mein unhonne ek neeli dori se seeneband ke chhallon ko epod ke chhallon se jod diya jisse seenaband epod mein kamarband ke oopar apni jagah par bana rahe. yah sab unhonne theek vaisa hi banaya, jaise yahova ne moosa ko aagya di thi.
22 fir usne epod ke neeche pehanne ke liye ek julahe se bin aasteen ka baaga bunvaya. yah baaga sirf neele dhaage se banaya gaya.+
23 baage mein ek gala banaya gaya, theek jaise bakhtar mein hota hai. gale ke chaaron taraf ek kinara banaya gaya taaki yah fat na jaaye.
24 fir unhonne baage ke neeche ke ghere mein anar ke aakaar mein fundne banaye. unhonne ye fundne neele dhaage, bainjni oon aur surkh laal dhaage se banaye jo aapas mein bate huye the.
25 fir unhonne shuddh sone se ghantiyaan banayin aur unhein baage ke poore ghere mein anaron ke beech-beech mein lagaya.
26 unhonne bin aasteen ke is baage ke poore ghere mein ek ghanti ke baad ek anar, fir ek ghanti fir ek anar lagaya. is tarah yaajak ke naate seva karnevale ke liye yah baaga theek vaisa hi banaya gaya, jaise yahova ne moosa ko aagya di thi.
27 unhonne haaroon aur uske beton ke liye julahe ke bune huye badhiya malmal se kurte banaye+
28 aur unke liye badhiya malmal ki pagdi,+ badhiya malmal ke khoobsoorat, shaandar saafe+ aur bate huye badhiya malmal ke jaanghiye banaye+
29 aur bate huye badhiya malmal se, jis par neela dhaaga, bainjni oon aur surkh laal dhaaga buna hua tha, ek kamar-patti banayi. yah sab theek vaisa hi banaya gaya, jaise yahova ne moosa ko aagya di thi.
30 aakhir mein unhonne shuddh sone ki ek chamchamati patti banayi jo samarpan ki pavitra nishani hai* aur us par ye shabd khodkar likhe: “yahova pavitra hai.” ye shabd unhonne usi tarah khudvaye jaise muhar par khudai ki jaati hai.+
31 us patti par unhonne ek dori lagayi jo neele dhaage se bani thi taaki woh patti pagdi par baandhi jaa sake. yah sab theek vaisa hi kiya gaya, jaise yahova ne moosa ko aagya di thi.
32 is tarah pavitra dere ka saara kaam poora ho gaya. israeliyon ne bheint ke tamboo ke liye har woh cheez banayi jiske baare mein yahova ne moosa ko aagya di thi.+ unhonne sabkuch vaisa hi banaya jaisa unhein bataya gaya tha.
33 fir woh pavitra dere ke sabhi hisse aur uski saari cheezen moosa ke paas le aaye:+ tamboo ki chimtiyaan,+ uski chaukhatein,+ dande,+ khambhe, khaanchedar chaukiyaan,+
34 tamboo ko dhakne ke liye laal rang se rangi medhe ki khaal ki chaadar+ aur seel machhli ki khaal se bani chaadar, sandook ke saamne ka parda,+
35 gavahi ka sandook, uske dande+ aur uska dhakna,+
36 mez aur uski saari cheezen,+ nazrane ki roti,
37 shuddh sone ki deevat, us par kataar mein lagane ke liye deeye,+ deevat ke saath istemal honevali saari cheezen+ aur deeye jalane ke liye tel,+
38 sone ki vedi,+ abhishek ka tel,+ sugandhit dhoop,+ tamboo ke dvar ka parda,+
39 tambe ki vedi,+ uski tambe ki jaali, uske dande,+ uske saath istemal honevali saari cheezen,+ haud aur uski tek,+
40 aangan ki kanatein, uske khambhe aur unki khaanchedar chaukiyaan,+ aangan ke dvar ka parda,+ kanatein lagane ke liye rassiyaan aur khoontiyaan,+ pavitra dere yaani bheint ke tamboo mein seva ke liye istemal honevali saari cheezen,
41 pavitra-sthan mein seva karnevalon ke liye badhiya tareeke se buni hui poshakein, haaroon yaajak ke liye pavitra poshak+ aur uske beton ke liye poshakein jinhein pehankar woh yaajkon ka kaam karte.
42 yahova ne moosa ko jo-jo aagya di thi, theek usi ke mutabik israeliyon ne saara kaam kiya.+
43 jab moosa ne unke saare kaam ka muayna kiya to usne dekha ki unhonne har kaam theek vaisa hi kiya tha jaisa yahova ne aagya di thi. aur moosa ne unhein aasheervad diya.

