nirgaman 16:1-36
16 israeliyon ki poori mandli eleem se nikaalne ke baad chalte-chalte seen veerane mein pahunchi,+ jo eleem aur seenai ke beech hai. misra chhodne ke doosre maheene ke 15vein din woh is jagah pahunche.
2 vahaan veerane mein israeliyon ki poori mandli moosa aur haaroon ke khilaf kudkudane lagi.+
3 woh baar-baar unse kehte rahe, “tum hamein veerane mein isliye laaye ho ki hamari poori mandli bhookhi mar jaaye.+ isse to achha tha ki hum yahova ke haathon misra mein hi maare jaate, jahaan hamein bharpet roti milti thi aur hum gosht ki haandiyon ke paas baithkar khaaya karte the.”+
4 tab yahova ne moosa se kaha, “dekh, main aakash se tum logon ke liye khaana barsaunga.+ tummein se harek jan roz baahar jaaye aur din-bhar ki zaroorat ke hisab se khaana ikattha kare.+ is intazam se main logon ko parkhoonga ki woh mere kaanoon par chaleinge ya nahin.+
5 chhathe din+ unhein baaki dinon se dugna khaana ikattha karna hai aur use pehale se taiyar karke rakhna hai.”+
6 tab moosa aur haaroon ne sabhi israeliyon se kaha, “aaj ki shaam tum sab beshak jaan jaaoge ki woh yahova hi hai jo tumhein misra se baahar nikaal laaya hai.+
7 kal subah tum yahova ki mahima dekhoge kyonki tumne yahova ke khilaf kudkudate huye jo-jo kaha, woh sab usne suna hai. hum kaun hain jo tum hamare khilaf kudkudate ho?”
8 moosa ne yah bhi kaha, “aaj shaam yahova tumhein khaane ko gosht dega aur kal subah roti dega taaki tum ji-bharkar khaa sako. tab tum jaan loge ki tumne yahova ke khilaf kudkudate huye jo bhi kaha woh usne suna hai. magar hum kaun hain jo tum hamare khilaf kudkudate ho? tum asal mein hamare khilaf nahin, yahova ke khilaf kudkuda rahe ho.”+
9 iske baad moosa ne haaroon se kaha, “israeliyon ki poori mandli se kehna, ‘tum sab yahova ke paas aao kyonki usne tumhara kudkudana suna hai.’”+
10 fir haaroon ne jaakaar israeliyon ki poori mandli se woh baat kahi. tab un sabne fauran mudkar veerane ki taraf munh kiya aur dekha ki yahova ki mahima ka tej baadal mein prakat hua hai!+
11 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
12 “mainne israeliyon ka kudkudana suna hai.+ unse keh, ‘aaj shaam jhutpute ke samay* tumhein khaane ko gosht milega aur kal subah tum bharpet roti khaaoge.+ tab tum beshak jaan jaaoge ki main tumhara parmeshvar yahova hoon.’”+
13 fir us shaam bateron ka ek bada jhund udta hua aaya aur poori chhaavni ko dhak liya.+ aur subah hui to chhaavni ke chaaron taraf zameen par os padi hui thi.
14 fir os sookh gayi aur veerane ki zameen par papdeedar cheez reh gayi+ jo paale ki tarah maheen thi.
15 jab israeliyon ne use dekha to woh ek-doosre se kehne lage, “yah kya hai?” kyonki woh nahin jaante the ki woh kya tha. moosa ne unhein bataya, “yah tumhare liye khaana hai, yahova ne diya hai.+
16 yahova ki yah aagya hai: ‘tummein se har koi utna khaana uthaye jitna woh khaa sakta hai. tumhare tamboo mein jitne log hain unmein se harek ke liye ek omer*+ ke hisab se tum khaana lena.’”
17 israeliyon ne aisa hi kiya. woh jaakaar khaana ikattha karne lage, kisi ne kam to kisi ne zyada uthaya.
18 fir unhonne use omer se naapa. jis kisi ne zyada uthaya tha uske paas zaroorat se zyada nahin raha aur jis kisi ne kam uthaya tha uske liye kam nahin pada.+ har kisi ko utna hi mila tha jitna woh khaa sakta tha.
19 fir moosa ne logon se kaha, “tummein se koi bhi yah khaana agli subah tak bachakar na rakhe.”+
20 magar unhonne moosa ki baat nahin maani. kuch logon ne thoda khaana subah ke liye bachakar rakha, lekin usmein keede pad gaye aur badboo aane lagi. tab moosa un par bhadak utha.
21 roz subah har koi utna khaana ikattha karta tha jitna woh khaa sakta tha. jab dhoop tez ho jaati to zameen par bacha khaana pighal jaata tha.
22 chhathe din logon ne dugna khaana ikattha kiya,+ yaani harek ke liye do omer ke hisab se. fir israeliyon ke sabhi pradhan moosa ke paas gaye aur unhonne use yah baat batayi.
23 moosa ne unse kaha, “yahova ne kaha hai, ‘kal ka din poore vishram ka din hoga,* yahova ko samarpit pavitra sabt ka din.+ isliye tumhein jo bhi khaana seinkna ho ya ubaalna ho, aaj hi kar lo+ aur bacha hua khaana kal subah ke liye rakh lo.’”
24 tab logon ne subah ke liye khaana bachakar rakha, theek jaise moosa ne aagya di thi. agle din unhonne dekha ki khaane mein na to keede pade the, na hi usse badboo aayi.
25 tab moosa ne logon se kaha, “tumhare paas jo khaana hai, use tum aaj khaa lena. aaj tumhein zameen par koi khaana nahin milega. kyonki aaj ka din yahova ke liye sabt hai.
26 tum chhe din khaana ikattha karoge, magar saatvein din zameen par koi khaana nahin milega kyonki woh sabt ka din hoga.”+
27 fir bhi kuch log saatvein din khaana ikattha karne baahar gaye, magar unhein kuch nahin mila.
28 tab yahova ne moosa se kaha, “tum log kab tak meri aagyaon aur mere kaayde-kaanoonon ko maanne se inkar karte rahoge?+
29 is baat ka dhyan rakho ki yahova ne tumhare liye sabt ka din thehraya hai.+ iseeliye chhathe din woh tumhein do din ka khaana de raha hai. saatvein din har koi apne ilake mein hi rahe, koi baahar na jaaye.”
30 aur saatvein din logon ne sabt manaya.*+
31 israeliyon ne us khaane ka naam “manna”* rakha. woh dikhne mein dhaniye ke beej jaisa safed tha aur uska swad shehad se bane puye jaisa tha.+
32 moosa ne kaha, “yahova ki yah aagya hai: ‘ek omer-bhar khaana alag rakhna taaki yah peedhi-peedhi tak rahe aur tumhare vanshaj dekh sakein+ ki mainne tumhein misra se chhuda laane ke baad veerane mein kaisa khaana diya tha.’”
33 tab moosa ne haaroon se kaha, “tu ek martaban le aur usmein omer-bhar manna daal aur use yahova ke saamne rakh taaki woh peedhi-peedhi tak rahe.”+
34 haaroon ne theek vaisa hi kiya jaise yahova ne moosa ko aagya di thi. usne ek martaban mein manna bharkar use ek khaas sandook*+ ke saamne rakha taaki woh sahi-salamat rahe.
35 israeliyon ne jab tak us desh mein kadam nahin rakha+ jahaan doosre log rehte the, tab tak unhonne manna hi khaaya.+ kanaan ki sarhad par pahunchne tak 40 saal unhonne manna khaaya.+
36 ek omer, epa* ka dasvaan bhaag hai.

