nahoom 2:1-13
2 titar-bitar karnevala tere* khilaf aa raha hai!+
jaa, jaakaar apne gadhon ki hifazat kar,raaste par nazar rakh,apni saari taakat bator le aur ladne ko taiyar ho jaa.*
2 yahova, yakub ko uski shaan lauta dega,israel ko bhi uski shaan lauta dega,kyonki tabah karnevalon ne unhein tabah kar diya tha+aur unki tahniyaan naash kar di thi.
3 uske shoorveeron ki dhaalein laal rang se rangi hain,uske yoddhaon ke kapde surkh laal hain.
woh yuddh ke liye taiyar hain,uske yuddh-rathon mein lagi lohe ki cheezen aag-si damak rahi hainaur woh sanovar lakdi ke bhaale uthaye lalkar rahe hain.
4 yuddh-rath sadkon par andhadhundh daud rahe hain,
nagar ke chauk mein idhar-udhaar bhaag rahe hain,woh jalti mashal ki tarah jagmaga rahe hain, bijli ki tarah kaundh rahe hain.
5 woh* apne adhikariyon ko bulata hai.
woh furti se sheharpanah ke liye nikaalte hain,girte-padte vahaan pahunchkar naakabandi karte hain.
6 nadiyon ke faatak khol diye jaayenge,mahal dhah jaayega.*
7 yah tay kiya gaya hai:uska* pardafash hoga, use bandi bana liya jaayega,uski daasiyaan maatam manaayengi, woh chhaati peetti huin faakhte ki tarah royengi.
8 neenve jab se bani hai,+ tab se paani ke taalab jaisi hai,lekin ab log usse door bhaag rahe hain.
“ruk jaao! ruk jaao!” sunkar bhi,koi palatkar nahin dekh raha.+
9 sona looto! chaandi looto!
khazane ki koi kami nahin,yahaan har tarah ki beshkeemti cheezon ka bhandar hai.
10 nagri khaali, sunsan aur ujaad ho gayi,+
logon ka man kachcha ho gaya, unke ghutne tharthara rahe hain, unki kamar ke jod hilne lage hain,sabke chehre ka rang ud gaya hai.
11 sheron ki maand kahaan gayi?+woh jagah kahaan gayi, jahaan javan sher baithkar khaata tha,jahaan sher apne bachchon ko lekar bekhauf ghoomta tha?
12 woh apne bachchon ke liye bahot-saa shikar laata thaaur apni sherniyon ke liye jaanvaron ka gala dabochta tha.
usne apni gufaon ko shikar se bhara tha,haan, faade huye jaanvaron se apni maand bhari thi.
13 senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai,“dekh, main tere khilaf hoon!+
main tere yuddh-rathon ko jalakar dhuyen mein uda doonga,+talvar tere javan sheron ko khaa jaayegi.
main prithvi se teri lootpat ka ant kar doongaaur tere dooton ki aavaz fir kabhi sunayi nahin degi.”+

