luka ke mutabik khushkhabri 21:1-38
21 fir usne nazar uthakar dekha ki ameer log daan-paatron mein apna-apna daan daal rahe hain.+
2 tab usne ek zarooratmand vidhva ko do paise* daalte dekha jinki keemat na ke barbar thi+
3 aur kaha, “main tumse sach kehta hoon, is gareeb vidhva ne un sabse zyada daala hai.+
4 isliye ki un sabne apni bahotayat mein se daala, magar is aurat ne apni tangi mein se, jo kuch uske jeene ka sahara tha woh sabkuch daal diya.”+
5 baad mein jab unmein se kuch mandir ke baare mein baat kar rahe the ki woh kaise shaandar pattharon aur samarpit ki hui cheezon se sajaya gaya hai,+
6 to usne kaha, “aise din aayenge jab yah sab jo tum dekh rahe ho, inka ek bhi patthar doosre patthar ke oopar nahin bachega jo dhaaya na jaaye.”+
7 tab chelon ne usse poochha, “guru, ye sab baatein asal mein kab hongi aur us vakt ki kya nishani hogi jab inke hone ka samay paas aa raha hoga?”+
8 usne kaha, “khabardar raho ki tum gumrah na ho jaao.+ isliye ki bahot-se log aayenge aur mera naam lekar daava kareinge, ‘main vahi hoon’ aur ‘tay kiya hua vakt paas aa gaya hai.’ tum unke peechhe mat jaana.+
9 iske alava, jab tum yuddhon aur hangamon* ki khabrein suno, to ghabra na jaana. isliye ki pehale in sabka hona zaroori hai magar ant fauran nahin aayega.”+
10 fir usne unse kaha, “ek raashtra doosre raashtra par aur ek raajya doosre raajya par+ hamla karega.+
11 bade-bade bhookamp aayenge aur ek-ke-baad-ek kai jagah akaal padeinge aur mahamariyaan faileingi.+ khaufnak nazare dikhayi deinge aur aakash mein badi-badi nishaniyaan dikhayi deingi.
12 magar in sab baaton ke hone se pehale log tumhein pakadvayenge, tum par zulm dhaayenge,+ tumhein sabha-gharon ke havale kar deinge aur jelon mein dalva deinge. mere naam ki khaatir tumhein raajaon aur raajyapalon ke saamne pesh kiya jaayega.+
13 isse tumhein gavahi dene ka mauka milega.
14 isliye apne dil mein thaan lo ki tum pehale se taiyari nahin karoge ki apni safai mein kya-kya kahoge.+
15 isliye ki main tumhein aise shabd aur aisi buddhi doonga ki sab virodhi saath milkar bhi tumhara mukabla nahin kar paayenge, na hi javab mein kuch kah paayenge.+
16 yahaan tak ki tumhare maata-pita, bhaai, rishtedar aur dost tak tumhein pakadva deinge* aur tummein se kuch ko maar daala jaayega.+
17 mere naam ki vajah se sab log tumse nafrat kareinge.+
18 magar tumhara baal bhi baanka nahin hoga.+
19 tum dheeraj dharne ki vajah se apni jaan bacha paaoge.+
20 jab tum yarooshalem ko faujon se ghira hua dekho,+ to jaan lena ki uske ujadne ka samay paas aa gaya hai.+
21 tab jo yahoodiya mein hon woh pahadon ki taraf bhaagna shuroo kar dein+ aur jo yarooshalem ke andar hon, woh baahar nikaal jaayen aur jo dehaton mein hon woh yarooshalem mein na jaayen.
22 kyonki woh din, badla chukane* ke din honge taaki jitni baatein likhi hain woh sab poori hon.
23 jo garbhvati hongi aur jo bachche ko doodh pilati hongi, unke liye woh din kya hi bhayanak honge!+ isliye ki desh par badi museebat aa padegi aur in logon par krodh bhadak uthega.
24 woh talvar se maar daale jaayenge aur unhein bandi banakar sab raashtron mein le jaaya jaayega.+ aur jab tak raashtron* ke liye tay kiya gaya vakt poora na ho jaaye, tab tak yarooshalem raashtron* ke pairon tale raunda jaayega.+
25 yahi nahin, sooraj, chaand aur taaron mein nishaniyaan dikhayi deingi+ aur dharti ke raashtra badi museebat mein honge kyonki samundar ke garajne aur uski badi halchal ki vajah se unhein bachne ka koi raasta nahin soojhega.
26 dharti par aur kya-kya hoga, is chinta aur dar ke maare logon ke ji mein ji na rahega, isliye ki aakash ki shaktiyaan hilayi jaayengi.
27 iske baad woh insan ke bete+ ko ek baadal mein shakti aur badi mahima ke saath aata dekheinge.+
28 lekin jab ye baatein hone lagein, to tum sir uthakar seedhe khade ho jaana, kyonki tumhare chhutkare ka vakt paas aa raha hoga.”
29 yeeshu ne unhein ek misal di: “anjeer ke ped aur doosre sabhi pedon par gaur karo.+
30 jab unmein nayi pattiyaan nikaal aati hain, to yah dekhkar tum jaan lete ho ki garmiyon ka mausam paas hai.
31 usi tarah, jab tum ye baatein hoti dekho, to jaan lena ki parmeshvar ka raaj paas hai.
32 main tumse sach kehta hoon, jab tak saari baatein poori na ho jaayen, tab tak yah peedhi hargiz nahin mitegi.+
33 aakash aur prithvi mit jaayenge, magar mere shabd kabhi nahin miteinge.+
34 magar tum khud par dhyan do ki had-se-zyada khaane aur peene+ se aur zindagi ki chintaon+ ke bhaari bojh se kahin tumhare dil dab na jaayen aur woh din tum par palak jhapakte hi achanak
35 fande ki tarah na aa jaaye.+ isliye ki woh din dharti par rehnevale sabhi logon par aa jaayega.
36 isliye aankhon mein nind na aane do+ aur har ghadi prarthna aur minnat karte raho+ taaki jin baaton ka hona tay hai, un sabse tum bach sako aur insan ke bete ke saamne khade reh sako.”+
37 is tarah, yeeshu din ke vakt mandir mein sikhata tha, magar raat ke vakt shehar se baahar chala jaata aur jaitoon naam pahad par thehra karta tha.
38 sab log mandir mein uski sunnae ke liye subah jaldi uske paas aa jaate the.

