doosra itihas 21:1-20

  • yahooda ka raja yahoram (1-11)

  • eliyah se likhit sandesh (12-15)

  • yahoram ka bura ant (16-20)

21  fir yahoshapat ki maut ho gayi* aur use daavidpur mein uske purkhon ki kabraa mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta yahoram raja bana.+ 2  yahoram ke bhaai yaani yahoshapat ke bete the ajaryah, yahiel, jakaryah, ajaryah, meekael aur shaptyah. ye sabhi israel ke raja yahoshapat ke bete the. 3  unke pita ne unhein tohfe mein bahot saara sona, chaandi aur keemti cheezen di, saath hi yahooda ke kileband shehar bhi diye,+ magar yahoram ko usne apna raaj saunpa+ kyonki woh pehalautha tha. 4  jab yahoram ne apne pita ke raaj ki baagdor haath mein li, to usne apna dabdaba banaye rakhne ke liye apne sab bhaaiyon ko aur israel ke kuch haakimon ko talvar se maar daala.+ 5  yahoram 32 saal ki umra mein raja bana aur usne yarooshalem mein rehkar aath saal raaj kiya.+ 6  yahoram ne israel ke raajaon ke taur-tareeke apna liye,+ theek jaise ahab ke gharane ne kiya tha kyonki uski shaadi ahab ki beti se hui thi.+ woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha. 7  fir bhi yahova ne daavid ke gharane ka naash nahin karna chaha, kyonki usne daavid ke saath karar kiya tha+ ki uska aur uske beton ka deeya hamesha jalta rahega.+ 8  yahoram ke dinon mein edom ne yahooda se bagavat ki+ aur fir apna ek raja khada kiya.+ 9  isliye yahoram aur uske senapati apne sabhi rath lekar us paar gaye. yahoram ne raat ke vakt jaakaar edomiyon par hamla kiya, jo use aur rath-sena ke adhikariyon ko ghere huye the aur unhein hara diya. 10  iske baad bhi edom ne yahooda se bagavat karna nahin chhoda aur aaj tak woh bagavat kar raha hai. unhin dinon libna+ ne bhi yahooda se bagavat ki kyonki yahoram ne apne purkhon ke parmeshvar yahova ko chhod diya tha.+ 11  usne yahooda ke pahadon par unchi jagah bhi banvayin+ taaki yarooshalem ke logon ko parmeshvar se vishvasghat* karne ke liye uksaye. woh yahooda ko behkakar parmeshvar se door le gaya. 12  kuch samay baad use bhavishyavakta eliyah+ ka likha yah sandesh mila: “tere purkhe daavid ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘tu apne pita yahoshapat+ aur yahooda ke raja aasa ke nakshe-kadam par nahin chala.+ 13  iske bajay, toone israel ke raajaon ke taur-tareeke apna liye+ aur yahooda aur yarooshalem ke logon ko parmeshvar se vishvasghat* karne ke liye uksaya,+ theek jaise ahab ke gharane ne vishvasghat kiya.+ toone apne pita ke gharane ko, apne bhaaiyon tak ko maar daala+ jo tujhse achhe the. 14  isliye yahova tere logon, tere beton aur teri patniyon par bhaari kehar dhaayega aur teri saari daulat naash kar dega. 15  aur tu kai beemariyon se peedit hoga, tujhe antadiyon ki beemari bhi lag jaayegi aur dinon-din yah beemari itni badh jaayegi ki teri antadiyaan baahar nikaal aayengi.’” 16  fir yahova ne palishtiyon+ ko aur un arbi logon+ ko, jo ithiyopiya ke logon ke paas rehte the, yahoram par hamla karne ke liye bhadkaya.+ 17  isliye unhonne yahooda par hamla kiya aur woh desh mein ghuskar raajmahal se woh saari daulat utha le gaye jo unhein mili thi.+ woh yahoram ke beton aur patniyon ko bhi le gaye, sirf uska sabse chhota beta yahoahaj*+ uske paas reh gaya. 18  yah sab hone ke baad, yahova ne use antadiyon ki ek laailaj beemari se peedit kiya.+ 19  kuch samay baad, do saal beetne par beemari ki vajah se uski antadiyaan baahar nikaal aayin. is beemari mein usne bahot dard jhela aur fir woh mar gaya. uske logon ne uske samman mein aag nahin jalayi, jaise uske purkhon ke liye jalayi thi.+ 20  yahoram 32 saal ki umra mein raja bana tha aur usne yarooshalem mein rehkar aath saal raaj kiya tha. jab uski maut hui to kisi ko dukh nahin hua. unhonne use daavidpur mein dafnaya,+ magar raajaon ki kabraa mein nahin.+

kai footnote

^ shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
^ ya “ko veshyaon jaisi badchalni.”
^ ya “ko veshyaon jaisi badchalni.”
^ ahajyah bhi kehlata tha.