is jaankari ko chhod dein

kya bible mein likhi baatein aapas mein mel nahin khaatin?

kya bible mein likhi baatein aapas mein mel nahin khaatin?

shastra se javab

nahin, aisa nahin hai. bible mein likhi sabhi baaton mein aapas mein taalmel hai. yah sach hai ki bible ke kuch bhaag padhne se aisa lag sakta hai ki ek hi vishay par kahi gayi baatein aapas mein mel nahin khaatin. magar neeche diye siddhaant dhyan mein rakhkar aise vishay sahi-sahi samjhe jaa sakte hain:

  1. kisi ghatna ke aage-peechhe ki jaankari par gaur keejiye. agar aage-peechhe ki baatein dhyan mein na rakhi jaayen, to kisi bhi lekhak ke shabdon ka galat matlab nikal sakta hai.

  2. lekhak ke nazariye ko dhyan mein rakhiye. kisi ghatna ke do chashmadeed gavah us ghatna ki sahi-sahi jaankari de sakte hain, bhale hi woh ek jaise shabd na istemal karein ya ek-jaisi baatein na batayen.

  3. itihas mein darz sachchaiyaan aur rivaz dhyan mein rakhiye.

  4. dhyan rakhiye ki ek shabd ka do tareeke se istemal ho sakta hai. ek, uska shaabdik matlab batane ke liye aur doosra, laakshnik.

  5. yah maankar chaliye ki kisi kaam ko bhale hi ek vyakti ne na kiya ho, fir bhi us kaam ka shrey use diya jaa sakta hai. *

  6. aisi bible padhiye, jismein sahi-sahi anuvad kiya gaya ho.

  7. kisi galat ya jaani-maani dhaarmik shiksha ko bible mein kahi gayi baat se jodne ki koshish mat keejiye.

neeche diye gaye udahranon se pata chalta hai ki in siddhaanton ko dhyan mein rakhkar kaise woh baatein samjhi jaa sakti hain, jinhein padhkar lagta hai ki woh aapas mein mel nahin khaatin.

pehla siddhaant: aage-peechhe ki jaankari

agar parmeshvar ne saatvein din vishram kiya, to yah kaise ho sakta hai ki woh ab tak kaam kar raha hai? utpatti ki kitab mein, srishti ke byaure mein bataya gaya hai ki parmeshvar ne “apne kiye huye saare kaam se saatvein din vishram kiya.” (utpatti 2:2-4) lekin iske aage-peechhe di jaankari padhne se pata chalta hai ki yahaan kaam ka matlab hai, dharti se jude srishti ke kaam. jab yeeshu ne kaha ki parmeshvar “ab tak kaam karta aa raha hai,” to woh utpatti mein likhi baat kaat nahin raha tha. (yuhanna 5:17) woh parmeshvar ke doosre kaamon ki baat kar raha tha. jaise, bible likhvane ka kaam, insanon ko maargdarshan dene aur unki dekhbhal karne ka kaam.—bhajan 20:6; 105:5; 2 patras 1:21.

doosra aur teesra siddhaant: nazariya aur itihas

yeeshu ne andhe aadmi ko kahaan theek kiya tha? luka ki kitab mein likha hai ki yeeshu ne ek andhe aadmi ko tab theek kiya, jab woh “yareeho ke kareeb pahunchnevala tha.” magar matti ki kitab mein isi ghatna ke baare mein likha hai ki yeeshu ne ek nahin, do andhe aadmiyon ko theek kiya aur aisa tab kiya, jab woh “yareeho se nikalkar baahar jaa” raha tha. (luka 18:35-43; matti 20:29-34) is ghatna ko do lekhkon ne apne-apne nazariye se likha jis vajah se ghatna ki kuch jaankari luka ke byaure mein milti hai, to kuch matti ke byaure mein. aadmiyon ki ginti ki baat karein, to matti ne thodi zyada jaankari di ki vahaan do aadmi the, jabki luka ne sirf us aadmi ka zikra kiya, jisse yeeshu baat kar raha tha. rahi baat jagah ki, to khojbeen karnevalon ne paaya hai ki yeeshu ke zamane mein yareeho naam ke do shahar the, ek yahoodiyon ka basaya purana shahar aur doosra rom ke logon ka basaya naya shahar. in donon ke beech dedh kilometer ka faasla tha. yeeshu ne jab yah chamatkar kiya, to ho sakta hai ki woh in donon shahron ke beech ho.

chautha siddhaant: shaabdik aur laakshnik shabd

kya prithvi naash ki jaayegi? bible mein sabhopdeshak 1:4 mein likha hai, “prithvi sarvada bani rehti hai.” lekin doosri jagah bible mein likha hai ki “prithvi aur us par ke kaam jal jaayenge.” (2 patras 3:10, hindi—o.vi.) in aayton ko padhne par lag sakta hai ki woh aapas mein mel nahin khaatin. magar bible mein shabd “prithvi” ke do matlab hain, ek shaabdik yaani hamara grah aur doosra laakshnik yaani is par rehnevale log. (utpatti 1:1; 11:1) 2 patras 3:10 mein “prithvi” ke naash ki jo baat ki gayi hai, uska matlab yah nahin ki hamara grah jalkar bhasm ho jaayega, balki yahaan “bhaktiheen logon ke naash kiye jaane” ki baat ki gayi hai.—2 patras 3:7.

paanchvaan siddhaant: shrey

kafarnahoom mein yeeshu se sena-afsar ne khud binti ki ya kisi aur ko bheja? matti 8:5, 6 mein likha hai ki sena-afsar yeeshu ke paas aaya tha, jabki luka 7:3 mein likha hai ki sena-afsar ne yahoodiyon ke buzurgon ko yeeshu ke paas bheja tha. aisa lag sakta hai ki donon aaytein aapas mein mel nahin khaatin. lekin baat yah hai ki yah binti sena-afsar ki thi, lekin usne apni taraf se buzurgon ko yeeshu se baat karne bheja tha.

chhatha siddhaant: sahi anuvad ki gayi bible

kya hum sabhi paap karte hain? bible sikhati hai ki hum sabhi ko pehle purush aadam se paap virasat mein mila hai. (romiyon 5:12) lekin bible ke kuch anuvadon mein kaha gaya hai ki achha insan “paap nahin karta” ya “gunah nahin karta.” (1 yuhanna 3:6, hindi—o.vi., the new testament, hindustani) 1 yuhanna 3:6 mein “paap” ke liye jo yoonani kriya shabd istemal hua hai, woh vartaman kaal mein hai, jisse yah pata chalta hai ki koi kaam lagatar ho raha hai. jo paap insanon ko virasat mein milta hai, usse koi bach nahin sakta. is paap mein aur jaanboojhkar parmeshvar ke kaanoon todte rehne mein fark hai. is vajah se bible ke kuch anuvadon mein yah baat is tarah likhi gayi hai, “paap karta nahin rehta.”—maseehi yoonani shastra; hindi easy-to-read version.

saatvaan siddhaant: bible ko galat dhaarmik shiksha se na jodein

kya yeeshu parmeshvar ke barabar hai ya uska darja parmeshvar se kam hai? ek baar yeeshu ne kaha, “main aur pita ek hain.” fir doosri jagah usne kaha, “pita mujh se bada hai.” aisa lag sakta hai ki ye donon baatein aapas mein mel nahin khaatin. (yuhanna 10:30; 14:28, hindi—o.vi.) in aayton ka sahi matlab samajhne ke liye hamein yah jaanch karni hogi ki bible asal mein yahova aur yeeshu ke baare mein kya sikhati hai. hamein in aayton ko triek ki shiksha se nahin jodna chahiye, jo bible par aadharit shiksha nahin hai. bible mein saaf-saaf bataya gaya hai ki yahova na sirf yeeshu ka pita hai, balki uska parmeshvar bhi hai. yeeshu uski upasna karta hai. (matti 4:10; markus 15:34; yuhanna 17:3; 20:17; 2 kurinthiyon 1:3) isse pata chalta hai ki yeeshu parmeshvar ke barabar nahin hai.

jab yeeshu ne kaha ki “main aur pita ek hain,” to uske aage-peechhe ki aaytein padhne par pata chalta hai ki asal mein woh yah keh raha tha ki uske pita yahova parmeshvar ka aur uska maksad ek hi hai. yeeshu ne baad mein kaha, “pita mere saath ekta mein hai aur main pita ke saath ekta mein hoon.” (yuhanna 10:38) yeeshu ne apne shishyon se kaha ki uska aur uske shishyon ka bhi ek hi maksad hona chahiye. usne unke baare mein parmeshvar se prarthna ki, “mainne unhein woh mahima di hai jo tu ne mujhe di thi, taaki woh bhi ek hon theek jaise hum ek hain. main unke saath ekta mein hoon aur tu mere saath ekta mein hai.”—yuhanna 17:22, 23.

^ para. 6 encyclopedia britannica mein taaj-mahal par likhe ek lekh mein kaha gaya hai ki “yah mugal samrat shaahajahaan ka banaya hua hai.” lekin iska yah matlab nahin ki usne khud ise banaya tha, balki jaise us lekh mein bataya gaya hai ki ise banane ke liye “20,000 se bhi zyada logon ko kaam par rakha gaya tha.”