is jaankari ko chhod dein

kya parmeshvar triyek hai?

kya parmeshvar triyek hai?

shastra se javab

kai maseehi samuday sikhate hain ki parmeshvar triyek hai. lekin encyclopædia britannica  mein likha hai, “naye niyam mein kahin bhi na to shabd triyek aata hai, na hi isse sambandhit koi shiksha di gayi hai. . . . is shiksha ki shurooat sadiyon baad dheere-dheere aur kai vivadon ke baad hui.”

darasal bible mein parmeshvar ke baare mein aisa kahin nahin likha hai ki woh triyek ka ek hissa hai. bible ki kuch aayton par dhyan deejiye:

“hamara parmeshvar yahova ek hi yahova hai.”​—vyavasthavivran 6:4.

“sirf tu jiska naam yahova hai, saari dharti ke oopar param-pradhan hai.”​—bhajan 83:18.

“hamesha ki zindagi paane ke liye zaroori hai ki woh tujh ekmatra sachche parmeshvar ko aur yeeshu maseeh ko jise toone bheja hai, jaanein.”​—yuhanna 17:3.

“asal mein hamare liye ek hi parmeshvar hai.”​—1 kurinthiyon 8:6.

zyadatar maseehi samuday kyon kehte hain ki parmeshvar triyek hai?