pehala itihas 21:1-30
21 fir shaitan* israel ke khilaf utha aur usne daavid ko israeliyon ki ginti lene ke liye uksaya.+
2 isliye daavid ne yoab+ aur senapatiyon se kaha, “jaao aur bersheba se daan+ tak israeliyon ki ginti lo. fir aakaar mujhe batao taaki main unki ginti jaan sakoon.”
3 magar yoab ne kaha, “yahova apne logon ki ginti 100 guna badhaye! mere maalik raja, kya woh sabhi pehale se hi tere sevak nahin hain? fir tu kyon yah kaam karna chahta hai? tu kyon israel par dosh lagne ka kaaran banna chahta hai?”
4 lekin raja nahin maana aur yoab ko uski baat ke aage jhukna pada. isliye yoab ne poore israel ka daura kiya, uske baad yarooshalem laut aaya.+
5 yoab ne daavid ko un logon ki ginti batayi jinka naam likha gaya tha. poore israel mein talvaron se lais sainik 11,00,000 the aur yahooda ke sainik 4,70,000.+
6 magar levi aur binyameen gotra ke aadmiyon ki naam-likhai nahin ki gayi+ kyonki yoab ko raja ki baat bilkul ghinauni lagi.+
7 daavid ke is kaam par sachche parmeshvar ko bahot krodh aaya isliye usne israel ko saza di.
8 tab daavid ne sachche parmeshvar se kaha, “mainne logon ki ginti lekar bahot bada paap kiya hai.+ daya karke apne sevak ko maaf kar de.+ mainne badi moorkhta ka kaam kiya hai.”+
9 tab yahova ne daavid ke darshi gaad+ se kaha,
10 “daavid ke paas jaa aur usse keh, ‘yahova tujhse kehta hai, “main tujhe teen tarah ke kehar batata hoon. tu chun le ki main tujh par kaun-saa kehar dhaaun.”’”
11 tab gaad ne daavid ke paas jaakaar kaha, “yahova ne kaha hai, ‘tu chun le ki tujh par kaun-saa kehar dhaaya jaaye.
12 tere desh par teen saal tak akaal pade+ ya teen maheene tak tere dushmanon ki talvar tujh par chalti rahe aur tujhe naash karti rahe+ ya teen din tak tere desh par yahova ki talvar chale yaani mahamari faile+ aur yahova ka swargdoot israel ke poore ilake ko ujaad de?’+ sochkar bata ki main apne bhejnevale ko kya javab doon.”
13 daavid ne gaad se kaha, “main bade sankat mein hoon. achha hai ki main yahova hi ke haath pad jaaun kyonki woh bada dayalu hai.+ magar mujhe insan ke haath na padne de.”+
14 fir yahova ne israel par mahamari ka kehar dhaaya+ jisse 70,000 log maare gaye.+
15 itna hi nahin, sachche parmeshvar ne ek swargdoot ko yarooshalem ka naash karne ke liye bheja. magar jaise hi yahova ne use tabah karte dekha, use bada dukh hua*+ aur usne naash karnevale swargdoot se kaha, “bas, ab ruk jaa!+ apna haath rok le.” us vakt yahova ka swargdoot yaboosi+ ornan ke khalihan+ ke bilkul paas khada tha.
16 jab daavid ne apni aankhein uthayin to dekha ki yahova ka swargdoot dharti aur swarg ke beech khada hai aur uske haath mein ek talvar hai jise woh khinchkar yarooshalem ki taraf badhaye huye hai.+ daavid aur pradhan taat odhe huye+ fauran munh ke bal zameen par gir gaye.+
17 daavid ne sachche parmeshvar se kaha, “logon ki ginti lene ke liye mainne hi kaha tha. paap to mainne kiya hai, galti meri hai.+ fir tu in logon ko kyon maar raha hai? in bhedon ka kya kasoor hai? hey yahova, mere parmeshvar, daya karke inhein chhod de aur mujhe aur mere pita ke gharane ko saza de. yah kehar apne logon par mat laa.”+
18 tab yahova ke swargdoot ne gaad+ se kaha ki woh daavid se kahe ki woh oopar jaaye aur yaboosi ornan ke khalihan mein yahova ke liye ek vedi khadi kare.+
19 tab daavid oopar gaya, theek jaise gaad ne yahova ke naam se use bataya tha.
20 is beech jab ornan peechhe muda to usne swargdoot ko dekha. uske saath uske jo chaar bete the woh jaakaar chhip gaye. us samay ornan gehoon daanv raha tha.
21 jab daavid ornan ke yahaan gaya to daavid ko dekhte hi woh khalihan se baahar aaya aur uske paas gaya. usne daavid ke saamne munh ke bal zameen par girkar use pranam kiya.
22 daavid ne ornan se kaha, “mujhe is khalihan ki zameen bech de* taaki main yahaan yahova ke liye ek vedi banaun. tu mujhse iski poori keemat le taaki logon par jo kehar aa pada hai woh band ho jaaye.”+
23 magar ornan ne daavid se kaha, “mere maalik raja, ise apni zameen samajh le. tu ise le le aur tujhe jo achha lage woh kar. main tujhe hom-baliyon ke liye bail, jalane ki lakdi ke liye daanvne ki patiya+ aur anaj ke chadhave ke liye gehoon deta hoon. yah sab main tujhe deta hoon.”
24 magar raja daavid ne ornan se kaha, “nahin, main aise nahin loonga. main poora daam dekar tujhse yah khareedoonga kyonki jo tera hai woh main yoon hi lekar yahova ko nahin doonga, na hi aisi hom-baliyaan chadhaunga jinki mainne koi keemat na chukayi ho.”+
25 isliye daavid ne us zameen ke liye ornan ko 600 shekel* sona taulkar diya.
26 daavid ne us jagah yahova ke liye ek vedi khadi ki+ aur us par hom-baliyaan aur shaanti-baliyaan chadhayin. usne yahova ko pukara aur parmeshvar ne swarg se hom-bali ki vedi par aag bhejkar daavid ko javab diya.+
27 fir yahova ne swargdoot ko hukm diya+ ki woh apni talvar vaapas myan mein rakh le.
28 us vakt jab daavid ne dekha ki yahova ne yaboosi ornan ke khalihan mein use javab diya hai to woh tab se usi jagah par balidan chadhane laga.
29 magar us samay yahova ka pavitra dera, jo moosa ne veerane mein banaya tha aur hom-bali ki vedi gibon mein unchi jagah par thi.+
30 daavid parmeshvar se salah karne ke liye vahaan nahin jaa paaya kyonki woh yahova ke swargdoot ki talvar se bahot dar gaya tha.
kai footnote
^ ya shaayad, “ek virodhi.”
^ ya “israel mein hui tabahi par pachhtava mehsoos hua.”
^ shaa., “de de.”
^ ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kha14 dekhein.

