is jaankari ko chhod dein

kyon yahova ke sakshi easter nahin manate?

kyon yahova ke sakshi easter nahin manate?

hamare baare mein failaye gaye jhooth

jhooth: yahova ke sakshi isliye easter nahin manate kyonki woh maseehi nahin hain.

sach: hum vishvas karte hain ki yeeshu maseeh ke zariye hi hamein jeevan milega aur hamari poori koshish rehti hai ki hum uske “nakshe-kadam par nazdeeki” se chalein.—1 patras 2:21; luka 2:11.

jhooth: aap vishvas nahin karte ki yeeshu ko dobara zinda kiya gaya tha.

sach: hum yeeshu ke dobara ji uthne par poora vishvas karte hain aur yah hamare vishvas ki ek thos buniyad hai, jiske baare mein hum prachar kaam mein doosron ko bhi batate hain.—1 kurinthiyon 15:3, 4, 12-15.

jhooth: aapko is baat ki parvah nahin ki aapke bachche easter ki khushiyaan nahin mana paate?

sach: hamein apne bachchon se bahot pyar hai aur hum unhein achhi baatein sikhane aur unhein khush rakhne ki poori koshish karte hain.—titus 2:4.

to fir yahova ke sakshiyon ko easter manane mein kya dikkat hai?

  • easter ke baare mein bible kuch nahin batati.

  • yeeshu ne apni maut ka din manane ki aagya di thi, naa ki uske dobara ji uthne ka din manane ki. isliye hum har saal bible calendar ke mutabik, uski maut ke din ki yaadgar manate hain.—luka 22:19, 20.

  • easter mein paaye jaanevale bahot-se reeti-rivazon ki shurooat prajnan shakti se jude reeti-rivazon se hui hai, jinka taalluk laingik anaitikta se hai. isliye yahova ise kabhi apni manzoori nahin de sakta. parmeshvar chahta hai hum sirf-aur-sirf uski bhakti karein, jismein kisi bhi tarah ki milavat karna parmeshvar ki tauheen karna hai.—nirgaman 20:5; 1 raja 18:21.

hum vishvas karte hain ki hamara easter naa manane ka faisla poori tarah bible ke mutabik hai. yah hamein badhava deti hai ki hum paramparaon ke peechhe bhaagne ke bajay apni “buddhi” ka istemal karke sahi faisle lein. (neetivachan 3:21; matti 15:3) fir bhi jab koi easter manata hai, to hum usmein koi dakhalandazee nahin karte. par agar koi jaanna chahe to hum unhein zaroor batana chaheinge ki hum yahova ke sakshi easter ke baare mein kya sochte hain.—1 patras 3:15.