is jaankari ko chhod dein

“swarg ke raaj ki chaabiyaan” kya hain?

“swarg ke raaj ki chaabiyaan” kya hain?

shastra se javab

“swarg ke raaj ki chaabiyaan” ya “kunjiyaan” ek khaas adhikar ko darshati hain. kaun-saa adhikar? logon ke liye “parmeshvar ke raaj mein daakhil” hone ka raasta kholne ka adhikar. (matti 16:19; hindi—o.v.; preshiton 14:22) * yeeshu ne patras ko “swarg ke raaj ki chaabiyaan” di yaani use ek khaas adhikar diya. use vafadar logon ko yah batana tha ki woh parmeshvar ki pavitra shakti paakar swarg ke raaj mein daakhil ho sakte hain.

ye chaabiyaan kinke liye istemal ki gayin?

parmeshvar se mile adhikar ka istemal karke patras ne raaj mein daakhil hone ka raasta teen samooh ke logon ke liye khola:

  1. yahoodi log aur unka dharm apnanevale doosre log. yeeshu ki maut ke kuch hi samay baad patras ne yahoodiyon aur unka dharm apnanevale logon se kaha ki woh yeeshu par vishvas karein aur maanein ki parmeshvar ne use apne raaj ka raja chuna hai. patras ne unhein bataya ki uddhaar paane ke liye unhein kya karna hoga. is tarah usne unke liye raaj mein daakhil hone ka raasta khola. us samay hazaron logon ne “uske vachan ko maana.”—preshiton 2:38-41.

  2. saamri log. baad mein patras ko saamri logon ke paas bheja gaya. * vahaan usne doosri chaabee ka istemal kiya. usne aur preshit yuhanna ne saamri logon ke liye “prarthna kee ki woh pavitra shakti paayen.” (preshiton 8:14-17) is tarah saamri logon ke liye raaj mein daakhil hone ka raasta khula.

  3. gair-yahoodi log. yeeshu ki maut ke saadhe teen saal baad parmeshvar ne patras ko bataya ki gair-yahoodiyon ko bhi raaj mein daakhil hone ka mauka milega. tab patras ne unhein prachar karke teesri chaabee istemal ki. is tarah gair-yahoodiyon ke liye bhi pavitra shakti paane ka, maseehi banne ka aur raaj mein daakhil hone ka raasta khul gaya.—preshiton 10:30-35, 44, 45.

“raaj mein daakhil” hone ka kya matlab hai?

jo log “raaj mein daakhil” hote hain, woh asal mein yeeshu ke saath swarg mein shaasan kareinge. bible mein pehle se hi bataya gaya tha ki woh “raajgaddiyon par baithkar” “raajaon ki haisiyat se dharti par raaj kareinge.”—luka 22:29, 30; prakashitvakya 5:9, 10.

raaj ki chaabiyon ke baare mein galat dhaarnayen

galat dhaarna: patras tay karta hai ki kaun swarg jaayega.

sachchai: bible mein likha hai ki patras nahin, balki maseeh yeeshu “zinda logon aur mare huon ka nyay karnevala hai.” (2 timuthiyus 4:1, 8; yuhanna 5:22) darasal khud patras ne kaha ki yeeshu hi hai, “jise parmeshvar ne jeeviton aur mare huon ka nyayi thehraya hai.”—preshiton 10:34, 42.

galat dhaarna: swarg mein sab intazar kar rahe the ki patras kab raaj ki chaabiyaan istemal karega.

sachchai: jab yeeshu ne raaj ki chaabiyon ke baare mein baat ki, tab usne patras se kaha, “jo kuch tu prithvi par baandhega, woh swarg mein bandhega; aur jo kuch tu prithvi par kholega, woh swarg mein khulega.” (matti 16:19, hindi—r.o.v.) is aayat se kuch logon ko lagta hai ki patras ne jo tay kiya, usi hisab se swarg mein kaam kiye gaye. lekin is aayat mein istemal huye yoonani bhasha ke kriya shabdon se pata chalta hai ki jo faisle swarg mein liye jaate hain, unke hisab  se patras chalta hai, na ki patras ke hisab  se swarg mein faisle liye jaate hain.

bible ki doosri aayton se pata chalta hai ki patras ne swarg se nirdesh paakar raaj ki chaabiyaan istemal kin. jaise, patras ne parmeshvar se mile nirdesh ke mutabik hi teesri chaabee ka istemal kiya.—preshiton 10:19, 20.

^ para. 1 kai baar bible mein shabd “chaabee” adhikar ya zimmedari ki nishani ke taur par istemal hua hai.—yashayah 22:20-22; prakashitvakya 3:7, 8.

^ para. 4 saamri log ek aise dharm ko maante the, jiski shikshayen yahoodi dharm ki shikshaon se alag thi. lekin us dharm ki kuch shikshayen aur rivaz moosa ke kaanoon par aadharit the.