is jaankari ko chhod dein

kya yah prithvi naash ho jaayegi?

kya yah prithvi naash ho jaayegi?

shastra se javab

nahin, prithvi kabhi naash nahin hogi. yah na to aag se bhasm ki jaayegi, na hi iski jagah koi aur grah banaya jaayega. bible batati hai ki parmeshvar ne prithvi ko isliye racha hai, taaki is par insan sada base.

  • “nek log dharti ke vaaris honge aur us par hamesha ki zindagi jeeyenge.”​—bhajan 37:29.

  • “[parmeshvar ne] dharti ko uski buniyad par kaayam kiya hai, yah apni jagah se kabhi hilayi nahin jaayegi, sada tak bani rahegi.”​—bhajan 104:5.

  • “prithvi hamesha kaayam rehti hai.”​—sabhopdeshak 1:4.

  • “[parmeshvar ne] prithvi ko racha, use banaya aur mazbooti se kaayam kiya, [usne] prithvi ko yoon hi nahin banaya, balki basne ke liye racha hai.”​—yashayah 45:18.

kya insan dharti ko tabah kar deinge?

haalaanki aisa lagta hai ki insan pradooshan, yuddhon ya kisi aur tareeke se dharti ko poori tarah tabah kar deinge, magar parmeshvar unhein aisa karne nahin dega. woh jald hi “prithvi ko tabah karnevalon ko khatm” karega. (prakashitvakya 11:18) woh yah kaise karega?

parmeshvar insani sarkaron ko hata dega, jo dharti ki hifazat karne mein naakam rahi hain. inki jagah woh apna raaj kaayam karega. yah raaj swarg se shaasan karega aur uska shaasan karne ka tareeka sabse badhiya hoga. (daaniyel 2:44; matti 6:9, 10) us raaj ka raja parmeshvar ka beta yeeshu maseeh hoga. (yashayah 9:6, 7) jab yeeshu dharti par tha, tab usne kai chamatkar karke yah dikhaya ki prakritik shaktiyon par uska kaaboo hai. (markus 4:35-41) usi tarah jab woh parmeshvar ke raaj ka raja bankar dharti par shaasan karega, tab dharti aur uski shaktiyon par uska poora kaaboo hoga. woh dharti ke haalaat ko ‘naya banayega’ yaani dharti par fir se vaise hi haalaat laayega, jaise adan ke bageeche mein the.​—matti 19:28; luka 23:43.

lekin kya bible yah nahin sikhati ki prithvi aag se bhasm kar di jaayegi?

nahin, bible yah nahin sikhati. yah galatfhami logon ko is vajah se hoti hai ki woh 2 patras 3:7 ko theek se samajh nahin paate, jahaan likha hai, “aaj ke aakash aur prithvi ko aag se bhasm karne ke liye rakha gaya hai.” is aayat ka sahi matlab samajhne ke liye zara do baaton par gaur keejiye:

  1. bible mein shabd “aakash,” “prithvi ya dharti” aur “aag” kai baaton ko darshate hain. jaise, bhajan 97:1 mein likha hai, “dharti khushiyaan manaye.” yahaan “dharti” ka matlab insani samaaj hai.

  2. doosra patras 3:7 ke sandarbh se pata chalta hai ki “aakash,” “prithvi” aur “aag” ka kya matlab hai. aayat 5 aur 6 mein nooh ke dinon mein aaye jalpralay ki misal di gayi hai. jab us jalpralay mein us zamane ki “duniya” naash hui, tab hamara prithvi grah naash nahin hua tha, balki khoon-kharaba karnevale log naash huye the. (utpatti 6:11) us vakt “aakash” yaani insanon par shaasan karnevale log bhi naash huye the. is tarah jalpralay se dusht log naash huye, na ki hamara prithvi grah. us duniya ke vinash mein nooh aur uska parivar zinda bach gaye aur unse hi dharti aabad hui.​—utpatti 8:15-18.

jaise jalpralay mein dusht logon ka naash hua tha, vaise hi 2 patras 3:7 mein batayi gayi “aag” ya vinash se dusht logon ki duniya ka ant hoga, na ki prithvi grah ka. parmeshvar ne vaada kiya hai ki ‘ek naya aakash aur nayi prithvi’ hogi, “jahaan neki ka basera hoga.” (2 patras 3:13) “nayi prithvi” yaani insanon ke naye samaaj par “naye aakash” yaani parmeshvar ke raaj ka shaasan hoga. us raaj ke shaasan ke dauran yah poori dharti khoobsoorat bageeche jaisi ban jaayegi.​—prakashitvakya 21:1-4.