is jaankari ko chhod dein

laailaj beemari mein himmat kaise mil sakti hai?

laailaj beemari mein himmat kaise mil sakti hai?

shastra se javab

ishvar ko apne un sevkon ki bahot fikra hoti hai jo beemar hain. ishvar ke ek sevak ke baare mein bible mein likha hai, “jab woh bistar par beemar pada hoga tab [parmeshvar] yahova use sambhalega.” (bhajan 41:3) agar aap lambe samay se beemar hain, to is lekh mein diye teen sujhav apnane se aapko bahot madad mil sakti hai.

  1. apni takleef sehne ke liye ishvar se madad maangiye. agar aap apni beemari ki vajah se pareshan hain, to ishvar se prarthna keejiye. woh aapko aisi ‘shaanti de sakta hai, jo aapki samajh se pare hai.’​—filippiyon 4:6, 7.

  2. khush rahiye. bible mein likha hai, “dil ka khush rehna badhiya dava hai, magar man ki udasi saari taakat choos leti hai.” (neetivachan 17:22) thoda hansi-mazak keejiye. isse na sirf aapko mushkil vakt mein himmat milegi, balki aapki sehat bhi achhi rahegi.

  3. achhe bhavishya ki ummeed keejiye. ek ummeed hone se aap mushkilon ke baavjood khush reh paayenge. (romiyon 12:12) bible mein bhi ek ummeed di gayi hai. ismein bataya gaya hai ki ek aisa vakt aanevala hai jab koi nahin kahega ki “main beemar hoon.” (yashayah 33:24) ishvar sabhi beemariyon ko theek kar dega, aisi beemariyon ko bhi jinka aaj koi ilaj nahin hai. jaise bible mein bataya gaya hai ki buzurg fir se javan ho jaayenge. ismein likha hai, ‘unki tvacha bachche ki tvacha se bhi komal ho jaayegi, unki javani ka damkham fir laut aayega.’​—ayyoob 33:25.

dhyan dein: yahova ke sakshi maante hain ki ishvar hamari bahot madad karta hai, lekin jab woh beemar hote hain to woh doctoron ko bhi dikhate hain. (markus 2:17) hum kisi khaas tareeke ke ilaj ka badhava nahin dete. har ek vyakti khud tay kar sakta hai ki woh kis tarah ka ilaj karana chahta hai.