is jaankari ko chhod dein

kyon prarthna karein? kya parmeshvar meri prarthnaon ka javab dega?

kyon prarthna karein? kya parmeshvar meri prarthnaon ka javab dega?

shastra se javab

haan, zaroor dega. bible batati hai aur bahot-se logon ka anubhav bhi yahi kehta hai ki parmeshvar hamari prarthnaon ka javab deta hai. bible kehti hai, “woh [parmeshvar] apne darvaiyon ki ichha poori karta hai, aur unki dohai sunkar unka uddhaar karta hai.” (bhajan 145:19) magar parmeshvar aapki  prarthnaon ka javab dega ya nahin, yah kaafi had tak aap par nirbhar karta hai.

kya baat parmeshvar ke liye maayne rakhti hai

  • hamein parmeshvar se prarthna karni chahiye na ki yeeshu, mariyam, santon, swargdooton ya moortiyon se. sirf yahova parmeshvar hi ‘prarthna ka sunnevala’ hai.—bhajan 65:2.

  • hamein bible mein batayi gayi parmeshvar ki marzee ya maangon ke mutabik prarthna karni chahiye.—1 yuhanna 5:14.

  • hamein yeeshu ke naam se prarthna karni chahiye. aisa karke hum yeeshu ko aadar de rahe honge. yeeshu ne kaha, “koi bhi pita ke paas nahin aa sakta, siva uske jo mere zariye aata hai.”—yuhanna 14:6.

  • hamein poore vishvas ke saath prarthna karni chahiye aur zaroorat padne par aur vishvas maangna chahiye.—matti 21:22; luka 17:5.

  • hamein namra hona chahiye aur hammein koi kapat nahin hona chahiye. bible kehti hai, “yahova mahan hai, taubhi woh namra manushya ki or drishti karta hai.”—bhajan 138:6.

  • hamein lagatar prarthna karni chahiye. yeeshu ne kaha, “maangte raho aur tumhein de diya jaayega.”—luka 11:9.

kya baat parmeshvar ke liye maayne nahin rakhti

  • aapki jaati ya aap kis desh se hain. “ab mujhe poora yakeen ho gaya hai ki parmeshvar bhedbhav nahin karta, magar har aisa insan jo uska bhay maanta hai aur nek kaam karta hai, fir chahe woh kisi bhi jaati ka kyon na ho, woh parmeshvar ko bhaata hai.”—preshiton 10:34, 35.

  • aap kis tarah baithein ya khade hain. aap baithkar, jhukkar, ghutnon ke bal, khade hokar ya kisi bhi tarah prarthna kar sakte hain.—1 itihas 17:16; nahemayah 8:6; daaniyyel 6:10; markus 11:25.

  • chahe aap man-hi-man prarthna karein ya zor-se. man mein ki gayi prarthnayen jinhein koi doosra nahin sun sakta, parmeshvar unka bhi javab deta hai.—nahemayah 2:1-6.

  • chahe aap kisi chhoti baat ko lekar pareshan hon ya badi. parmeshvar badhava deta hai ki aap ‘apni saari chintaon ka bojh usi par daal dein, kyonki use aapki parvah hai.’—1 patras 5:7.