is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

naukri chhootne par kya karein?—baaibal mein diye sujhav apnaiye

naukri chhootne par kya karein?—baaibal mein diye sujhav apnaiye

 naukri chhoot jaane par paison ki tangi to hoti hi hai par iske saath-saath aapki chintayen badh sakti hain, aap maayoos ya pareshan rehne lag sakte hain. aapke ghar ka maahaul bhi bigad sakta hai. aise mein aap kya kar sakte hain? aaiye kuch sujhavon par dhyan dein. ye sujhav bible ke siddhanton par aadharit hain jo aapke bahot kaam aa sakte hain.

  •   kisi ko bataiye ki aapke man mein kya chal raha hai.

     bible kya kehti hai: “sachcha dost har samay pyar karta hai.”—neetivachan 17:17.

     naukri chale jaane par shaayad aap bahot udas ho jaayen, aapko gussa aaye ya aapko samajh na aaye ki ab kya karein. aap shaayad sochne lagein ki aap kisi kaam ke nahin hain. aise mein agar aap apne doston aur parivarvalon ko batayenge ki aapke man mein kya chal raha hai, to woh aapki madad kar paayenge. woh aapko tasalli de paayenge, aapki himmat badha paayenge. unse baat karke aapko achha lagega. shaayad woh aapko kuch aise sujhav bhi dein, jisse aap doosri naukri dhoondh paayen.

  •   bahot zyada chinta mat keejiye.

     bible kya kehti hai: “agle din ki chinta kabhi na karna kyonki agle din ki apni hi chintayen hongi.”—matti 6:34.

     bible mein bataya gaya hai ki pehale se yojna banana achhi baat hai. (neetivachan 21:5) lekin usmein yah bhi salah di gayi hai ki hum bhavishya ke baare mein bahot zyada chinta na karein. kai baar hum bevajah aisi baaton ki chinta karne lagte hain jo shaayad kabhi na hon. isliye achha hai ki hum aaj ke din aaj ki hi chinta karein.

     iske alava, bible mein aur bhi kuch sujhav diye gaye hain jinse aap tanav ka achhi tarah saamna kar sakte hain. is baare mein jaanne ke liye “tanav ka saamna kaise karein?” lekh padhein.

  •   kharche kam keejiye.

     bible kya kehti hai: “main jaanta hoon ki kam cheezon mein guzara karna kaisa hota hai aur yah bhi jaanta hoon ki bharpoori mein jeena kaisa hota hai.”—filippiyon 4:12.

     naye haalaat mein aapko kuch ferbadal karne honge, apni aadatein badalni hongi. aap pehle jis tarah paise kharch karte the usmein ab shaayad aapko kuch katauti karni pade. is tarah aapke paas jitna hai aap usmein guzara chala paayenge. yah bhi dhyan rakhiye ki aap bevajah karz na lein.—neetivachan 22:7.

     kam paison mein kaise karein guzara?” naam ke lekh mein is baare mein aur bhi kuch sujhav diye gaye hain. jaanne ke liye yah lekh padhein.

  •   samay ka achha istemal keejiye.

     bible kya kehti hai: “buddhimanon ki tarah chalo. apne vakt ka sahi istemal karo.”—ifisiyon 5:15, 16.

     jab aap naukri karte the to aapka ek achha schedule hua karta tha. ab bhale hi aapke paas naukri nahin hai fir bhi samay ka achha istemal keejiye aur ek schedule banakar rakhiye. is tarah aap poore din khaali nahin baithe raheinge aur khud ke baare mein aisa nahin socheinge ki aap kisi kaam ke nahin hain.

  •   haalaat ke hisab se khud ko dhaaliye.

     bible kya kehti hai: “mehnat ke har kaam se faayda hota hai.”—neetivachan 14:23.

     zaroori nahin ki aapko vaisi hi naukri mile jaisi aap pehale kar rahe the. isliye haalaat ke hisab se khud ko dhaaliye aur koi bhi kaam karne ke liye taiyar rahiye. aapko shaayad chhote-mote kaam bhi karne padein ya aisi naukri karni pade jahaan aapko pehale jitni tanakhvah na mile.

  •   haar mat maaniye.

     bible kya kehti hai: “subah apna beej bo aur shaam tak apna haath mat rok kyonki tu nahin jaanta kaun-saa beej ugega.”—sabhopdeshak 11:6.

     naukri dhoondhte rahiye. apne rishtedaron, doston, padosiyon aur jaan-pehchanvalon se baat keejiye aur bataiye ki aapko naukri ki zaroorat hai. naukri dilanevali agencyon se sampark keejiye, alag-alag companiyon ki website aur doosre ishtiharon ko dekhte rahiye. aapko shaayad turant naukri na mile. ho sakta hai, aapko kai jagah interview dene padein aur apna biodata jama karana pade. par haar mat maaniye.