is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

mahamari mein lein chain ki saans

mahamari mein lein chain ki saans

 kya aap covid-19 ke khatre se pareshan hain? agar aisa hai, to aap akele nahin hain. duniya-bhar mein maheenon se log is mahamari ke khatre mein ji rahe hain. doc. haans kloog jo vishva swasth sanghathan ka hissa hain kehte hain, “covid-19 ko rokne ke liye bahoton ne kai balidan kiye hain. aise haalaat mein hatash aur pareshan hona laazimi hai, kyonki log ghar mein reh-rehkar thak chuke hain.“

 agar aap bhi is mahamari ke dar se thak gaye hain. to himmat mat haariye. aise haalaat ka saamna karne mein bible bahoton ki madad kar rahi hai. bible aapki bhi madad kar sakti hai.

 mahamari se honevali thakan kya hai?

 mahamari se honevali thakan logon ki zindagi mein aaye badlav aur aage kya hoga yah naa pata hone ki vajah se hoti hai. lekin yah koi beemari nahin hai. har insan mein shaayad alag-alag badlav dekhne ko milein, lekin aam taur par dekhe jaanevale badlav hain:

  •   himmat haar jaana

  •   khaane aur sone ki aadaton mein badlav

  •   chhoti-chhoti baaton par chidh jaana

  •   jo kaam pehle aasani se hote the ab shaayad mushkil lagein

  •   kisi kaam mein dhyan na laga paana

  •   nirash ho jaana

 mahamari se honevali thakan par kyon dhyan dena zaroori hai?

 mahamari se honevali thakan ka bura asar hum par aur doosron par ho sakta hai. agar hum is baat par dhyan na dein, to hum is mahamari se ladne ki himmat kho sakte hain aur dheele pad sakte hain. vakt ke rehte, hamein lag sakta hai ki ab hamein is baare mein zyada chinta karne ki zaroorat nahin hai. bandishon mein rehne ki vajah se, hum zyada aazadi chahne lag sakte hain. lekin aisa karne se hum apni aur doosron ki jaan khatre mein daal sakte hai.

 is mushkil daur mein hum sab bible mein likhi is baat ko achhi tarah samajh gaye honge, “mushkil ghadi mein agar tu nirash ho jaaye, to tujhmein bahot kam taakat reh jaayegi.” (neetivachan 24:10) bible mein aise siddhaant diye gaye hain, jinki madad se hum mushkil daur ka saamna kar sakte hain, yahaan tak ki is mahamari ka bhi.

 bible ke kaun-se siddhaant mahamari se honevali thakan door karne mein aapki madad kar sakte hain?

  •   doori banaiye​—par kareebee rishte barkarar rakhiye

     bible kya kehti hai: “sachcha dost ... museebat ki ghadi mein bhaai ban jaata hai.”​—neetivachan 17:17.

     yah kyon zaroori hai: sachche dost ek-doosre ko mazboot karte hain. (1 thisslunikiyon 5:11) iske ulat, doosron se khud ko alag karna hamari sehat ke liye theek nahin hain.​—neetivachan 18:1.

     ise aazmaiye: video call, phone, email ya message karne ke zariye apne doston se baatcheet karte rahiye. jab kabhi aapka din achha nahin guzarta to is baare mein apne doston se baat keejiye aur samay-samay par unse bhi unka haal-chaal lete rahiye. ek-doosre ko bataiye ki mahamari ka saamna karne ke liye aapne kya tareeke apnaye hain. apne dost ke liye kuch aisa keejiye jisse ki unka aur aapka din ban jaaye.

  •   is vakt ka poora faayda uthaiye

     bible kya kehti hai: “apne vakt ka sahi istemal karo.”​—ifisiyon 5:16.

     yah kyon zaroori hai: apne vakt ka sahi istemal karne se aap sahi nazriya banaye rakh paayenge aur bevajah chinta karne se bacheinge.—luka 12:25.

     ise aazmaiye: is baat par dhyan dene ke bajay ki aap kya nahin kar paa rahe hain, sochiye ki aap is vakt ka poora faayda kaise utha sakte hain. jaise ki, kya aise koi kaam ya shauk hain jinhein aap ab poora kar sakte hain? kya aap apne parivar ke saath zyada vakt bita sakte hain?

  •   schedule ke mutabik kaam keejiye

     bible kya kehti hai: “sab baatein ... achhe intazam ke mutabik hon.”—1 kurinthiyon 14:40.

     yah kyon zaroori hai: aksar logon ko apne rozmarra ke kaam karne se tab zyada khushi milti hai, jab woh inke liye ek samay thahrate hain.

     ise aazmaiye: aaj ke haalaat ko dhyan mein rakhte huye ek schedule banaiye. tay keejiye ki kab aap school ka, baahar ka kaam aur ghar ka kaam kareinge. saath hi parmeshvar ke saath apne rishte ko mazboot karne ke liye bhi vakt nikaliye. aap apne schedule mein in kaamon ke liye bhi vakt tay kar sakte hain, jaise ki parivar ke saath samay bitana, baahar nikalna ya kasrat karna. samay-samay par apne schedule ki jaanch keejiye aur agar zaroorat lage to use badalte rahiye.

  •   mausam ke anusar badlav keejiye

     bible kya kehti hai: “hoshiyar insan khatra dekhkar chhip jaata hai.”​—neetivachan 22:3.

     yah kyon zaroori hai: aapke ilake ke mausam ka aap par bahot asar padta hai. ho sakta hai ki mausam badalne ki vajah se aap taazee hava aur dhoop na le paate hon, jo ki aapke shaareerik aur maansik sehat ke liye zaroori hota hai.

     ise aazmaiye: agar sardiyon ka mausam aa raha hai, to aap jahaan baithte hain aur jahaan kaam karte hain, vahaan ke furniture ko is tarah lagaiye ki aapko achhi dhoop mil sake. pehle se sochkar rakhiye ki aise kaun se shauk hain jo aap thand mein bhi ghar se baahar jaakar poore kar sakte hain, jaise ki kasrat karna, sair karna ya baagbani karna. ho sake to, aise garam kapdon ka intazam keejiye jinhein pehankar aap baahar zyada samay bita paayen.

     agar garmiyon ka mausam aa raha hai, to saavdhan rahiye kyonki bahot se log baahar samay bita rahe honge. bheed se bachne ke liye pehle se hi yojna banaiye ki aap kahaan aur kab jaayenge.

  •   covid se bachne ke liye saavdhani bartiye

     bible kya kehti hai: “moorkh befikra hota hai aur khud par zyada hi bharosa karta hai.”​—neetivachan 14:16.

     yah kyon zaroori hai: covid-19 ek jaanleva beemari hai. agar hum saavdhani na bartein to yah beemari hamein bhi ho sakti hai.

     ise aazmaiye: samay-samay par is baat ki jaanch karte rahiye ki aapke ilake mein jo hidaytein di jaati hain, kya aap unhein maan rahe hain. aur is baat ko bhi dhyan mein rakhiye ki aap jo karte hain uska asar aap par, aapke parivar par aur doosron par bhi ho sakta hai.

  •   parmeshvar ke saath apne rishte ko mazboot keejiye

     bible kya kehti hai: “parmeshvar ke kareeb aao aur woh tumhare kareeb aayega.”​—yakub 4:8.

     yah kyon zaroori hai: kisi bhi pareshani ka saamna karne mein parmeshvar aapki madad kar sakta hai.​—yashayah 41:13.

     ise aazmaiye: har roz parmeshvar ke vachan bible ka ek hissa padhiye. aisa karne mein bible padhne ka schedule aapki madad kar sakta hai.

 kisi yahova ke sakshi se baat keejiye ki covid-19 mahamari ke dauran sabhayen jaari rakhne ke liye unhonne kya intazam kiye hain? udahran ke liye, duniya-bhar mein sakshi video conferencing ke zariye mandli ki sabhayen, saalana manaya jaanevala yeeshu ki maut ka smarak din aur saal bhar mein honevale sammelan aur adhiveshan chala rahe hain.

 bible ki aaytein jo mahamari se honevali thakan mein aapki madad kar sakti hain

 yashayah 30:15: “shaant raho aur mujh par bharosa karo, tab tumhein himmat milegi.”

 matlab: parmeshvar ki salah par bharosa rakhne se aapko mushkil samay mein shaant rehne mein madad milegi.

 neetivachan 15:15: “dukhi insan ke liye sab din bure hote hain, magar jiska man khush rehta hai, uske liye to har din daavat hai.”

 matlab: achhi baaton par dhyan dene se aapko mushkil samay mein khush rehne mein madad milegi.

 neetivachan 14:15: “naadan har baat par aankh moondkar yakeen karta hai, lekin hoshiyar insan har kadam soch-samajhkar uthata hai.”

 matlab: is mahamari ke dauran sehat se judi jo bhi hidaytein di jaa rahi hain, unhein maaniye. kisi ke kehne par yah mat maan baithiye ki ab saavdhani baratna zaroori nahin hai.

 yashayah 33:24: “koi nivasi na kahega, ‘main beemar hoon.’”

 matlab: parmeshvar vaada karta hai ki woh har tarah ki beemariyon ko khatm kar dega.